din ki lehro ko choomti hui ye fazaa
raat ki aghosh main hoti hui fanaa
subh-o-shaam laati hai aik hee paighaam
kahain main, kahan tum, har pal anjaan
ranjh aur khushi se hamara jo naata hai yeh
soch ke bazaar main na mil paye ga kabhi
ye ishq ye pyar,sab hai qaid ka doosra naam
kahan main,kahain tum, har pal anjaan
ye dhalta hua suraaj jo gaata hai geet
shayd bheja gya hua sirf meray teray liye
Jaan kar sab ho chuka hai wo bhi pareshan
kahan main, kahain tum, har pal anjaan
musqurahat ke peechay iss chupay hain kai raaz
ye darr nahi lekin ke parda uth jaye ga kabhi
Uth jaye agar tou ho jaye shayd zindagi asaan
kahan main, kahan tum, har pal anjaan
Afsos ye ke iss haal ka hun khud zimedaar
Magar beet jaye gi zindagi ishi tarhan aakhir kaar
Bebasi meri hai shayd apnay hee gunaho ka anjaam
kahan main, kahan tum, har pal anjaan